• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte

Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte

tujhe bhi janchte apna bhi imtihan karte

kahin charagh jalate kahin dhuan karte

ka.i the jalva-e-nayab tujh se pahle bhi

kis aasre pe tira naqsh javedan karte

safina Duub raha tha to kyuun na yaad aaya

tiri talab tire arman ko badban karte

mohabbaten bhi tiri hain shikayaten bhi tiri

yaqin tujh pe na hota to kyuun guman karte

hava thi tez jalate rahe dilon men charagh

kaTi hai umr lahu apna ra.egan karte

vo be-jhahat ka safar tha savad-e-sham na sub.h

kahan pe rukte kahan yad-e-raftagan karte

dayar-e-ḳhvab men Thahre hisar-e-gul men rahe

magar ye gham hi raha ḳhud ko shadman karte

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bikhar Chuka Hai Talluq Kasao Mushkil Hai

poet

Pi Ke Kar Leta Hun Tauba Jab Se Ye dastur Hai

poet

Wo Jis Ke Dil Mein Nihan Dard Do-Jahan Ka Tha

Ye Shahr-E-Gul KHash-O-KHashak Ho Gaya Kaise

Wo Karwan-E-Bahaaran Ki Be-Dara Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet