mahfil mahfil sannate hain
dard ki guunj pe kaan dhare hain
dil tha shor tha hangame the
yaaro ham bhi tum jaise hain
mauj-e-hava men aag bhari hai
bahte dariya khaul uthe hain
armanon ke narm shagufe
shakhon ke ham-rah jale hain
ye jo dher hain ye jo khandar hain
maazi ki galiyan-kuche hain
jin ko dekhna bas men nahin tha
aise bhi manzar dekhe hain
kaun dilon par dastak dega
yadon ne dam saadh liye hain
Leave a Reply