maghz-e-bahar is baras us bin bacha na tha
chin-e-jabin bin ek gul ab ki hansa na tha
jab lag men subh hsun-e-buton se mila na tha
dil hoe gul sa haat se mere gaya na tha
kya ki vafa ki mauj-e-guhar sa hai sar se band
khanjar juz ek dam ka mira ashna na tha
ja kar fana ke us taraf asuda main hua
main alam-e-adam men bhi dekha maza na tha
is yar-e-karvani ke vaqt-e-vidaa haae
be-nala ek ashk mira juun dara na tha
hote hi jalva-gar tire ai aftab-ru
siine men jaise shabnam-e-gul dil raha na tha
munh mod but-kada se haram ko chala hai shaikh
‘uzlat’ magar hai kaabe hi men yahan khuda na tha
Leave a Reply