muskurane men din guzarta hai
gham chhupane men din guzarta hai
aap ka kya hai aap ka aksar
dil dukhane men din guzarta hai
yaad aa.e to un ke kuche men
aane jaane men din guzarta hai
aaj bhi mai-kade men saaqi ka
mai pilane men din guzarta hai
ruuTh jaata hai ham se ‘shafi’ jab
phir manane men din guzarta hai
Leave a Reply