hadon se baḌh ke mukammal hudud saunpta huun
tiri thakan ko main apna vajud saunpta huun
ragon men ḳhuun ki hiddat se ḳhushk-sali hai
main us ravani ko rasm-e-jumud saunpta huun
vo mujh se duur to main us se duur hone laga
main barguzida aziyyat ko suud saunpta huun
main saunp dene ki manzil talak nahin pahuncha
magar kisi ko qayam-o-sujud saunpta huun
vo be-zaban ḳhuda kar raha tha sargoshi
main ma.arifat ke tanasub se juud saunpta huun
to kya ye lafz bhi ḳhali hain ma.anaviyyat se
zabur-e-jism ko ruh-e-da.ud saunpta huun
mira vajud madina shumar hota hai
main jab bhi dil se dahan ko darud saunpta huun
nabi ka beTa huun nisbat hai mo’atabar meri
kisi ko faqr kisi ko numud saunpta huun
ayaan bhi hona hai lekin nihan bhi rahna hai
so gha.ebana ada ko varud saunpta huun
mujhe hai ḳhauf-e-zamana na niche dab jaa.e
main apne sar ka falak ko umuud saunpta huun
tu meri aankh ke hujre men lauT aa.ega
main tujh ko donon-jahan ki hudud saunpta huun
tu dekhne ka irada to bandh ai ‘kazim’
main teri aankh ko ramz-e-shuhud saunpta huun
Leave a Reply