mabda-e-husn se kaise ye juda hai yaksar
ki zaman aur makan ek ada hai yaksar
ye jo di hai hamen azadi-e-afkar-o-amal
koi batlao jaza hai ki saza hai yaksar
vaqt hai tesha-o-shamshir ka jis men kab se
vo hatheli abhi masruf-e-dua hai yaksar
marhaba jashn-e-jibillat ki nahin ham paband
marhaba ziist ki azad-e-haya hai yaksar
baat kahne ko hai kuchh aur jahan ka mamduh
bal-e-jibril nahin bal-e-huma hai yaksar
tu samajhta hai jise apna muizz-o-razzaq
ham samajhte hain vahi tera ḳhuda hai yaksar
aaj jo fitrat-e-adam nazar aati hai hamen
ye miri jaan zamane ki hua hai yaksar
mamba-e-faiz se aati hai jo rahmat yaan tak
ye hamen al-e-mohammad ki ata hai yaksar
ḳhaliq-e-ḳhatm-e-rusul al-e-eba ka masjud
apna masjud magar al-e-eba hai yaksar
Leave a Reply