• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Maal-E-Soz-E-Gham-Ha-E-Nihani Dekhte Jao

Maal-E-Soz-E-Gham-Ha-E-Nihani Dekhte Jao

ma.al-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jaao

bhaḌak uTThi hai sham-e-zindagani dekhte jaao

chale bhi aao vo hai qabr-e-‘fani’ dekhte jaao

tum apne marne vaale ki nishani dekhte jaao

abhi kya hai kisi din ḳhuun rula degi ye ḳhamoshi

zaban-e-hal ki jadu-bayani dekhte jaao

ghurur-e-husn ka sadqa koi jaata hai duniya se

kisi ki ḳhaak men milti javani dekhte jaao

udhar munh pher kar kya zab.h karte ho idhar dekho

miri gardan pe ḳhanjar ki ravani dekhte jaao

bahar-e-zindagi ka lutf dekha aur dekhoge

kisi ka aish-e-marg-e-na-gahani dekhte jaao

sune jaate na the tum se mire din-rat ke shikve

kafan sarkao meri be-zabani dekhte jaao

vo uTTha shor-e-matam aḳhiri didar-e-mayyat par

ab uTTha chahti hai na.ash-e-‘fani’ dekhte jaao

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Id Ka Din Hua Karti Thi Har Ek Raat Mujhe

poet

Teri Mahfil Mein Jitne Ai Sitam-Gar Jaane Wale Hain

qateel-shifai

Haalat Se Khauf Kha Raha Hun

Mere Atraf Ye Kaisi Sadaen Raqs Karti Hain

Aap Aate to Baat Banti Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet