• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-E-Ayyam Nahin

Lutf Ab Zist Ka Ai Gardish-E-Ayyam Nahin

poet

lutf ab ziist ka ai gardish-e-ayyam nahin

mai nahin yaar nahin shisha nahin jaam nahin

kab mujhe yaad rukh o zulf-e-siyah-fam nahin

koi shaghl is ke siva subh se ta shaam nahin

har sukhan par mujhe deta hai vo bad-khu dushnam

kaun si baat miri qabil-e-inam nahin

nek-nami men dila firqa-e-ushshaq hain ishq

hai vo badnam mohabbat men jo badnam nahin

chehra-e-yar ke saude men kaha karta huun

rukh hai ye subh nahin zulf hai ye shaam nahin

bosa ankhon ka jo manga to vo hans kar bole

dekh lo duur se khane ke ye badam nahin

halqa-e-zulf-e-butan men hai bhari nikhat-e-gul

ai dil is laam men bu-e-gul-e-islam nahin

ibtida ishq ki hai dekh ‘amanat’ hushyar

ye vo aghaz hai jis ka koi anjam nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-shanas

Mohabbaton Ko Kahin Aur Pal Kar dekho

Rang Birange Sapnon Jaisi Aankhen Teri

poet

Ba-Har-Surat Thahar Jaana paDega

Tumhaare Gham Se Tauba Kar Raha Hun

poet

mujh sin aur dilruba sin hai an-ban

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet