log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyuun hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyuun hain
mai-kada zarf ke meaar ka paimana hai
khali shishon ki tarah log uchhalte kyuun hain
mod hota hai javani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aa ke phisalte kyuun hain
niind se mera taalluq hi nahin barson se
khvab aa aa ke miri chhat pe tahalte kyuun hain
main na jugnu huun diya huun na koi taara huun
raushni vaale mire naam se jalte kyuun hain
Leave a Reply