lo āftāb ne sab ḳhatm iḳhtilāf kiyā
dhuāñ dhuāñ the jo manzar sabhī ko saaf kiyā
shafaq kā laal dupaTTā oḌhā ke vaadī ko
vajūd-e-ishq kā sūraj ne e’tirāf kiyā
kisī ḳhayāl meñ ġharqāb garm sāñsoñ ne
dabī huī kisī hasrat kā inkishāf kiyā
ik ābshār keī shaffāf narm halchal ne
kamāl kar diyā sañg-e-badan shigāf kiyā
ki bāzgasht to jaarī hai in ghaTāoñ keī
pa bārishoñ ne kahāñ jā ke etakāf kiyā
ghaTā ne chāñd kā ghūñghaT sañvārne ke liye
hisār-e-nūr meñ sau martaba tavāf kiyā
tumhāre ḳhauf se ham muñh chhupā.e phirte haiñ
ye raushnī se añdheroñ ne e’tirāf kiyā