• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Liya Jo Uski Nigahon Ne Jaeza Mera

Liya Jo Uski Nigahon Ne Jaeza Mera

liya jo us ki nigahon ne ja.eza mera

to TuuT TuuT gaya ḳhud se rabta mera

sama.aton men ye kaisi miThas ghulti rahi

tamam umr raha talḳh za.iqa mera

chaTaḳh gaya huun main apne hi haath se gir kar

mire hi aks ne toḌa hai aa.ina mera

kiya gaya tha kabhi mujh ko sangsar jahan

vahin lagaya gaya hai mujassama mera

jabhi to umr se apni ziyada lagta huun

baḌa hai mujh se ka.i saal tajraba mera

adavaton ne mujhe e’timad baḳhsha hai

mohabbaton ne to kaaTa hai rasta mera

main apne ghar men huun ghar se ga.e huon ki tarah

mire hi samne hota hai tazkira mera

main luT gaya huun ‘muzaffar’ hayat ke hathon

sunegi kis ki adalat muqaddama mera

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zawal-E-Husn Ko Husn-E-Nigar Kya Jaane

Sar Pe Ek Saeban to Rahne De

Us Sine Ki Waqat Hi Kya Hai Jis Sine Mein Tera Nur Nahin

Dasht Mein Ghas Ka Manzar Bhi Mujhe Chahiye Hai

Kaise Kahen Ki Kaise Guzari Hai Zindagi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet