liya hai ishq ne kya intikhab kar ke mujhe
chuna jo bazm men jam-e-sharab kar ke mujhe
khata-o-jurm pe mujh ko bahut nadamat thi
diya jo khuld men ja be-hisab kar ke mujhe
tumhare naqsh-e-qadam se ye aa rahi hai sada
qadam ne chhod diya ham-rikab kar ke mujhe
khata nahin hai miri ai sanam main kya karta
bithaya dasht men dil ne azaab kar ke mujhe
ye khak-e-ashiq-e-ghamgin se aa rahi hai sada
qaza chali gai masruf-e-khvab kar ke mujhe
khuda ki shaan to dekho ki un ke gulshan men
nasim le gai bu-e-gulab kar ke mujhe
banaya sajda-gah-e-ins-o-jinn dila ne mire
‘jamila’ sang-e-dar-e-bu-turab kar ke mujhe
Leave a Reply