lipTi hui phirti hai nasim un ki qaba se
gul khilte hain har gaam pe daman ki hava se
dil aisa diya kyuun ki raha kushta-a-janan
tum se nahin ye shikva bhi karna hai ḳhuda se
mahram hain hamin garmi-e-guftar se un ki
jo honT jo ankhen hain giran-bar haya se
ahista karo chaak gulo apna gareban
gunje na chaman ghunchon ke hansne ki sada se
kholenge unhin hathon ke naḳhun girah-e-dil
jo basta hain rangini-o-ḳhushbu-e-hina se
ta.abir ke sahraon men hain ḳhvab-e-pareshan
dariya ko sarabon se sada dete hain pyase
lete ho agar nam-e-shahidan to hai ye shart
jaan jaa.e rahe pa na haTen rah-e-vafa se
Leave a Reply