ali-bin-muttaqi roya
vahi chup tha vahi roya
ajab ashob-e-irfan men
faza gum bhi ki ji roya
yaqin mismar mausam ka
khanDar ḳhud se tahi roya
azaan ziina utar aa.i
sukut-e-batini roya
ḳhala har zaat ke andar
suna jis ne vahi roya
nadi paani bahut roi
aqida raushni roya
sahar-dam kaun rota hai
ali-bin-muttaqi roya
Leave a Reply