karun shikva na kyuun charkh-e-kuhan se
ki furqat daali tujh se gul-badan se
tiri furqat ka ye sadma pada yaar
zaban na-ashna ho gai sukhan se
dam-e-takfin bhi gar yaar aave
to niklen haath bahar ye kafan se
khila hai takhta-e-lala-jigar men
hamen kya kaam ab sair-e-chaman se
na pahuncha gosh tak ik tere haihat
hazaron naala nikla is dahan se
dimagh-e-jan men hai ye bu-e-kakul
ki nafrat ho gai mushk-e-khutan se
jigar par laakh teshe gham ke nit hain
rahi nisbat hamen kya kohkan se
‘surur’ aata hai jab vo yad-dilbar
to jaan bas meri ho jaati hai san se
Leave a Reply