lipaT rahi hain jo tujh se dua.en meri hain
hava ka shor nahin hai sada.en meri hain
kisi bhi raah se tum aa sako to aa jaana
ki shahr mera hai saari disha.en meri hain
uḌa rahe ho yahan jin ki dhajjiyan tum bhi
ye jaan lo ki vo saari rida.en meri hain
mujhe to gaanv ki miTTi hai jaan se bhi aziiz
vahan ki galiyon men kya kya ada.en meri hain
tumhen to chandni ban kar faza men ghulna hai
shab-e-siyah ki saari bala.en meri hain
pahan ke jis ko hain aghyar surḳh-ru ‘anjum’
vo sadgi se muzayyan qaba.en meri hain
Leave a Reply