• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata

Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata

likhi hui jo tabahi hai us se kya jaata

hava ke ruḳh pe magar kuchh to naḳhuda jaata

jo baat dil men thi us se nahin kahi ham ne

vafa ke naam se vo bhi fareb kha jaata

kashid-e-mai pe hai kaisa fasad hakim-e-shahr

tiri girah se hai kya banda-e-ḳhuda jaata

ḳhuda ka shukr hai tu ne bhi maan li miri baat

rafu purane dukhon par nahin kiya jaata

misal-e-barq jo ḳhvab-e-junun men chamki thi

us agahi ke ta.aqub men huun chala jaata

libas-e-taza ke ḳhvahan hue hain zarra o sang

ik aa.ina hai koi duur se dikha jaata

ajab tamasha-e-sahra hai chak-e-mahmil par

ghubar-e-qais hai parda koi gira jaata

jo aag bujh na sakegi usi ke daman men

har ek shahr hai ijad ka basa jaata

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ismail-merathi

Wahin Se Jab Ki Ishaara Ho Khud-Numai Ka

poet

Chale Aao Agar dam Bhar Ko Tum To Ye Jata Rahe Fil-Faur Maraz

Farogh-E-Dida-O-Dil Lala-E-Sahar Ki Tarah

ali-sardar-jafri

Kabhi Khandan Kabhi Giryan Kabhi Raqsa Chaliye

poet

Shahar-E-Ghaflat Ke Makin Waise to Kab Jagte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet