likha jo ashk se tahrir men nahin aaya
vo dard lafz ki tafsir men nahin aaya
abhi kuchh aur jakaḌ dushmani ki bandish men
lahu ka za.iqa zanjir men nahin aaya
ho dard halka to jhuTi ḳhushi bhi mil jaa.e
ik aisa lamha bhi taqdir men nahin aaya
kisi ke hijr ne muflis bana diya shayad
palaT ke apni vo jagir men nahin aaya
vo meri ankhon pe qabiz raha ‘siya’ lekin
kisi bhi ḳhvab ki ta.abir men nahin aaya
Leave a Reply