le ke yadon ke aaj nazrane
ai vatan aa.e tere divane
koi gulshan-parast kya jaane
phuul men kis qadar hain virane
ham ko jo kuchh diya hai duniya ne
ham samajhte hain ya ḳhuda jaane
dair-o-ka.aba men ji nahin lagta
dil salamat hazar virane
jin ko be-e’tibar samjha hai
kaam a.enge ye hi divane
Leave a Reply