• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Sae Se Har Lahza Kisi Samt Rawan Hain

Kuchh Sae Se Har Lahza Kisi Samt Rawan Hain

kuchh saa.e se har lahza kisi samt ravan hain

is shahr men varna na makin hain na makan hain

ham ḳhud se juda ho ke tujhe DhunDne nikle

bikhre hain ab aise ki yahan hain na vahan hain

jaati hain tire ghar ko sabhi shahr ki saḌken

lagta hai ki sab log tiri samt ravan hain

ai mauj-e-avara kabhi ham se bhi Takra

ik umr se ham bhi sar-e-sahil nigaran hain

to DhunDh hamen vaqt ki divar ke us paar

ham duur bahut duur ki manzil ka nishan hain

simTe the kabhi ham to sama.e sar-e-mizhgan

phaile hain ab aise ki karan-ta-ba-karan hain

ik din tire anchal ki hava ban ke uḌe the

us din se zamane ki nigahon se nihan hain

toḌo na hamare liye avaz ka ahang

ham log to ik Dubte lamhe ki fughan hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Paigham-E-Zindagi Hai KHushi Ki Nawed Hai

firaq-gorakhpuri

Kisi Ka Yun To Hua Kaun Umr Bhar Phir Bhi

Ru-Ba-Ru Phir Se Uski Aankhen Thin

poet

Jo Hota Aah Teri Aah-E-Be-Asar Mein Asar

ruKH Tumhaara Ho Jidhar Hum Bhi Udhar Ho Jaenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet