• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein

Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein

tham ga.i vaqt ki raftar tire kuche men

aise sabit hua sayyar tire kuche men

manzar-e-bam sar-e-did nahin khulta hai

kuchh hai na-dida ka asrar tire kuche men

har talabgar ko hai hasil-e-guftar-e-sukut

na hai inkar na iqrar tire kuche men

a.ina shaam ka raushan ruḳh-e-mahtab se kar

aks chamke to ho didar tire kuche men

vaslat-e-kar baham ho ki hain jam.a din raat

pesha-e-hijr ke be car tire kuche men

nafa ke khel men samjha gaya tha taaq jise

vo ḳhasare men hai hoshyar tire kuche men

aḳhir-e-umr ne ki raunaq-e-bazar tamam

na dukan hai na ḳharidar tire kuche men

ek muddat se hai tartib men be-tartibi

na durusti ke hain asar tire kuche men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Muztarib Hun Ab Ye Ji Ki Baat Hai

poet

Viran Sa Ab Hun Jo Main Aisa to Nahin Tha

Uski Taswir Ko Sine Se Lagata Hi Nahin

Mat Puchh Masiha Ki Main Kya DhunD Rahi Hun

poet

Ranj Rahat-Asar Na Ho Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet