• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil-O-Nazar Mein Na Paida Hui Shakebai

Dil-O-Nazar Mein Na Paida Hui Shakebai

poet

dil-o-nazar men na paida hui shakeba.i

kisi ke gham ne tabi.at hazar bahla.i

tamam husn-o-mohabbat tamam ra.ana.i

vo ik nigah jo paigham-e-zindagi laa.i

chhalak paḌen na kahin ashk meri ankhon se

kisi ke dard-e-mohabbat ki ho na rusva.i

gham-e-zamana ke maare na rah sake zinda

nigah-e-dost ne kya kya na ki masiha.i

na ruk sakenge rah-e-ishq men junun ke qadam

ki baḌh raha hai abhi zauq-e-abla-pa.i

vo jehd-e-jama-dari hai na fikr-e-baḳhiya-gari

ajiib haal men hain aaj tere sauda.i

nazar paḌa na kahin vo ghazal-ram-ḳhurda

junun-e-shauq ne ki laakh dasht-paima.i

miri tarah to tamasha na ban saka koi

agarche ek jahan tha tira tamasha.i

qarib aa ke bhi ehsas-e-buad miT na saka

ki tere ho ke bhi ham hain tire tamanna.i

jo hirs-o-az ke bande hain un ko kya malum

vaqar-e-bandagi-o-azmat-e-jabin-sa.i

har ek chiiz jahan sim-o-zar men tulti hai

mire ḳhulus ki kya ho vahan pazira.i

ye lala-o-gul-o-nasrin ye anjum-o-mahtab

kahan nahin tire jalvon ki alam-ara.i

mujhe vo ahd vo din-rat yaad aate hain

ki jab na thi tire gham se koi shanasa.i

shab-e-firaq ki be-tabiyon ko kya kahiye

kabhi kabhi to mire gham ko bhi hansi aa.i

na rah saka kisi aalam men bhi tira ‘muztar’

ki gham hua na gavara ḳhushi na raas aa.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Juzw-O-Kul Ka Hum Is Andaz Se Rishta Samjhe

Saghar-E-Sarshaar Ki Baaten Karen

poet

Ek Na Aane Wale Ka Intizar Karte Hain

ahmad-nadeem-qasmi

Gulon Mein Rang To Tha Rang Mein Jalan To Na Thi

Hasil-E-Intizar Kuchh Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet