ik hunar hai jo kar gaya huun main
sab ke dil se utar gaya huun main
kaise apni hansi ko zabt karun
sun raha huun ki ghar gaya huun main
kya bata.un ki mar nahin paata
jite-ji jab se mar gaya huun main
ab hai bas apna samna dar-pesh
har kisi se guzar gaya huun main
vahi naz-o-ada vahi ghamze
sar-ba-sar aap par gaya huun main
ajab ilzam huun zamane ka
ki yahan sab ke sar gaya huun main
kabhi ḳhud tak pahunch nahin paaya
jab ki vaan umr bhar gaya huun main
tum se janan mila huun jis din se
be-tarah ḳhud se Dar gaya huun main
ku-e-janan men sog barpa hai
ki achanak sudhar gaya huun main
Leave a Reply