manzar-e-vaqt ki yaksani men baiTha hua huun
raat din ek si virani men baiTha hua huun
koi saman-e-safar hai na masafat dar-pesh
mutma.in be-sar-o-samani men baiTha hua huun
kabhi nayaft ka hai to kabhi kam-yaft ka gham
vaj.h-be-vaj.h pareshani men baiTha hua huun
kar-e-dushvar hai aghaz se munkir jab tak
kar-e-be-kar ki asani men baiTha hua huun
kal kahin rafta men tha haal ki hairat ka asiir
ab kisi farda ki hairani men baiTha hua huun
ḳhair ham-zad mira duur tamasha.i hai
shar huun aur fitrat-e-insani men baiTha hua huun
jism huun aur nafas Thahra hai zamin mera
sa.at-e-umr ki nigrani men baiTha hua huun
ek bazar-e-tilismat hai jis ke andar
jeb-e-ḳhali tiri arzani men baiTha hua huun
reg-ta-reg huun phaila hua sahra ki tarah
aur sarabon ki faravani men baiTha hua huun
aisa sannaTa hai avaz se haul aata hai
ik bayaban sa bayabani men baiTha hua huun
na main bilqis ki ho shahr-e-saba ki ḳhvahish
na gham-e-taḳht-e-sulaimani men baiTha hua huun
Leave a Reply