aana hai yuun muhal to ik shab ba-khvab aa
mujh tak khuda ke vaste zalim shitab aa
deta huun naama main tujhe is shart par abhi
qasid tu us ke paas se le kar javab aa
aisa hi azm hai tujhe gar ku-e-yar ka
chalta huun main bhi ai dil-e-pur-iztirab aa
ye khasta chashm va hai tire intizar men
ai subh munh dikha kahin ai aftab aa
ta ye shab-e-firaq ki dijur duur ho
ai rashk-e-mah ghar men mire be-naqab aa
ab-e-ravan o sabza o ru-e-nigar hai
saaqi shitab aise men le kar sharab aa
roen gale se lag ke baham khuub koi dam
kya dekhta hai ai dil-e-be-sabr-o-tab aa
bahr-e-jahan men der-shud aamad rava nahin
manind-e-qatra ja tu ba-rang-e-hubab aa
qurbani aaj dar pe tire karni hai mujhe
le kar ke tegh to bhi barae-savab aa
shayad vo tujh ko dekh ke gham khaae ‘mushafi’
tu us ke samne to ba-chashm-e-pur-ab aa
Leave a Reply