lamha lamha shumar kaun kare
umr bhar intizar kaun kare
koi vaada bhi to vafa na hua
be-vafaon se pyaar kaun kare
shab-e-tira-o-tar ka daman
dekhiye taar taar kaun kare
dosti ek lafz-e-be-maani
kis pe ab inhisar kaun kare
ai gham-e-dost tere hote hue
gham-e-lail-o-nahar kaun kare
tere is dard-e-la-dava ka ilaaj
dil-e-zar-o-nazar kaun kare
silsila tutna tha tuut gaya
ab use ustuvar kaun kare
Leave a Reply