kuchh din ki raunaq barson ka jiina
saari javani aadha mahina
duniya-e-dil ki rasmen nirali
be-maut marna be-as jiina
roka tha dam bhar lahrata aansu
aa aa gaya hai danton pasina
vo aise hi hain ja re javani
jo ḳhud hi baḳhsha vo ḳhud hi chhina
jis ka tha va.ada vo kal na aa.i
din ginte guzra saara mahina
munh par safa.i aur chor dil men
a.ina phenko ponchho pasina
bas ‘arzu’ bas farda ka va.ada
barson ki baten do din ka jiina
Leave a Reply