sitam ke maare lahu men Duube hue nazaron ka kya karunga
sisakte ghuncho tumhin batao main in baharon ka kya karunga
jinhen bharosa ho asman par vo asman se panah mangen
main apne zarron se mutma.in huun main chand-taron ka kya karunga
agar mujhe de sake zamana to kuchh na.e zaḳhm aur de de
main ghamgusaron ko janta huun main ghamgusaron ka kya karunga
hain sham-e-ghurbat ki tirgi men mujhe mire ashk hi ghanimat
ho jin ki qismat men ḳhud hi gardish main un sitaron ka kya karunga
main ḳhud hi tufan huun apna sahil nikal lunga yahin kahin se
jahan safine bhi Duub jaa.en main un kinaron ka kya karunga
tumhare dair-o-haram ke jalve tumhen mubarak tumhin sambhalo
mujhe haqiqat ki justuju hai main ḳhvab-zaron ka kya karunga
abhi to daman-e-ghuncha-o-gul se lunga main intiqam ‘arshad’
abhi junun mo’atabar nahin hai abhi baharon ka kya karunga
Leave a Reply