
Zeb Ghauri
lahr lahr kya jagmag jagmag hoti hai
jhiil bhi koi rang badalta moti hai
kaava kaaT ke uupar uThti hain qazen
gun gun gun gun paron ki gunjan hoti hai
chaḌhta hua parvaz ka nashsha hai aur main
tez hava rah rah kar Dank chubhoti hai
gahre sannaTe men shor havaon ka
tariki suraj ki laash pe roti hai
dekho is be-his nagin ko chhuna mat
kya malum ye jagti hai ya soti hai
meri ḳhasta-mizaji dekhte sab hain magar
kitne ghamon ka bojh uTha.e hoti hai
kis ka jism chamakta hai paani men ‘zeb’
kis ka ḳhazana raat nadi men Duboti hai

Leave a Reply