laghzishon se mavara tu bhi nahin main bhi nahin
donon insan hain ḳhuda tu bhi nahin main bhi nahin
tu mujhe aur main tujhe ilzam deta huun magar
apne andar jhankta tu bhi nahin main bhi nahin
maslahat ne kar diya donon men paida iḳhtilaf
varna fitrat ka bura tu bhi nahin main bhi nahin
chahte donon bahut ik dusre ko hain magar
ye haqiqat manta tu bhi nahin main bhi nahin
jurm ki nauiyyaton men kuchh tafavut ho to ho
dar-haqiqat parsa tu bhi nahin main bhi nahin
raat bhi viran fasil-e-shahr bhi TuuTi hui
aur sitam ye jagta tu bhi nahin main bhi nahin
jan-e-‘arif’ tu bhi ziddi tha ana mujh men bhi thi
donon ḳhud-sar the jhuka tu bhi nahin main bhi nahin
Leave a Reply