lafz khushbu men dhalta manzar
lijiye sher ban gaya manzar
kaisa sundar tha ik zamane men
teri ankhon men dubta manzar
rang mausam se ud gae saare
canvas par pada raha manzar
aap ka jism bhi hai mitti ka
ek nazuk sa bhurbhura manzar
mujh ko hairat se maar dalega
aaine men saja hua manzar
aah kamre men jagte rahna
aah khidki men so gaya manzar
us ne daman jhatak liya tauba
mere hathon se gir gaya manzar
tum yahan the to tha yahin par vo
phir darakhton men ja chhupa manzar
koi avaz phir se gunji hai
ho gaya phir hara-bhara manzar
kis ki aahat hai suuni galiyon men
kis ka khulta hai raat ka manzar
koi muflis ki punji ho jaise
jodti huun zara zara manzar
Leave a Reply