labon ki jumbish nava-e-bulbul hai shoḳh lahja tira qayamat
daraz qamat ghazal ankhen gulab chehra tira qayamat
ghaTa.en zulfen ḳhumar palken mahin anchal pe mah-o-anjum
suhani raton ki chandni men hai chhat pe jalva tira qayamat
zamin-e-dil par ada-e-dilbar chala.e nashtar uTha.e mahshar
nazar uThana nazar jhukana har ek harba tira qayamat
gulon ki laali shagufta aariz pe fasl-e-gul ki safir Thahri
nashile lab ki halavaton se dhaḌakta naghma tira qayamat
jo tu ne khole hava men gesu mahak uTha hai tamam gulshan
hasin sumbul ke darmiyan hai damakta chehra tira qayamat
tire shabistan ke goshe goshe men raushni ka zuhur har-pal
aqidaton ke diye se raushan nafis kamra tira qayamat
kanval badan par machalti sansen chhalakte saghar ki tarjuman hai
gudaz banhen surahi gardan sarapa naqsha tira qayamat
vafa.en mujh se jafa.en mujh se ada.en har-pal yahi hain ‘zakir’
kabhi hai ghamza kabhi hai ishva ye naaz naḳhra tira qayamat
Leave a Reply