chandni tha ki ghazal tha ki saba tha kya tha
main ne ik baar tira naam suna tha kya tha
ab ke bichhḌe hain to lagta hai ki kuchh TuuT gaya
mera dil tha ki tira ahd-e-vafa tha kya tha
ḳhud-kushi kar ke bhi bistar se uTha huun zinda
main ne kal raat ko jo zahr piya tha kya tha
tum to kahte the ḳhuda tum se ḳhafa hai ‘qaisar’
Dubte vaqt vo jo ik haath baḌha tha kya tha
Leave a Reply