baithe baithe koi khayal aaya
zinda rahne ka phir saval aaya
kaun dariyaon ka hisab rakhe
nekiyan nekiyon men daal aaya
zindagi kis tarah guzarte hain
zindagi bhar na ye kamal aaya
jhuut bola hai koi aina
varna patthar men kaise baal aaya
vo jo do-gaz zamin thi mere naam
asman ki taraf uchhal aaya
kyuun ye sailab sa hai ankhon men
muskurae the ham-khayal aaya
Leave a Reply