lab pe aaya hi na tha harf-e-tamanna koi
ab ke karta bhi to kya karta mudava koi
zindagi tere taghayyur ki taraf dhyan gaya
jab havaon men uchhala gaya sikka koi
charagar koi na hamdard na muḳhlis na rafiq
shahr-e-be-mehr men kis vaste aaya koi
gardish-e-vaqt ko samjha.e bhala kaun ye baat
roz chaukhaT pe take hai mira rasta koi
a.ine ḳhud chale aate hain muqabil mere
shaan men paḌhta hai jab mere qasida koi
daulat-e-ijz na.i rut men na DhunDo ki yahan
ya to banta hai ya karta hai tamasha koi
ab ke ‘afaq’ miri ankhon men aansu bhi na the
garm miTTi pe taḌapta raha pyasa koi
Leave a Reply