lab par dil ki baat na aa.i
vapas biiti raat na aa.i
ḳhushk huiin ro ro kar ankhen
madh-mati barsat na aa.i
meri shab ki tariki men
taron ki saughat na aa.i
mai-ḳhane ki mast faza men
raas mujhe haihat na aa.i
dil to umDa ro na saka main
chha.i ghaTa barsat na aa.i
mera chand nikalne ko tha
shaam se pahle raat na aa.i
jis par mahfil luT jaati hai
tujh ko ‘ziya’ vo baat na aa.i
Leave a Reply