• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Lab-E-Rangin Hain Tere Rashk-E-Aqiq-E-Yamani

Lab-E-Rangin Hain Tere Rashk-E-Aqiq-E-Yamani

poet

lab-e-rangin hain tire rashk-e-aqiq-e-yamani

zeb deti hai tujhe nam-e-ḳhuda kam-suḳhani

haar kal pahne the phulon ke nishan hai ab tak

ḳhatm hai gul-badanon men tiri nazuk-badani

sharm se aab hue nishkar-o-qand-o-nabat

dekh kar ai shakarin-lab tiri shirin-dahni

meva-e-bagh-e-iram us ko na bhave hargiz

taubar-e-bosa kiya jis ne vo seb-e-zaqni

jhuTe va.ade tire ai jaan karun sab bavar

dil shikasta na kare gar tiri paiman-shikani

shama-ruyon se jise sham-o-sahar sohbat ho

hai saza-var use da.ava-e-ḳhush-anjumani

is qadar mahke hai us kakul-e-mushkin ki shamim

justuju men hue ‘bedar’ ghazal-e-ḳhutani

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gham-E-Dil Ko Badal Jaane Ki Zid Hai

Apne Dam Se Guzar Auqat Nahin Karta Main

aftab-shamsi

Aakhiri Safar

momin-khan-momin

Ghussa Begana-War Hona Tha

Dard Ka Gahra Samundar Aur Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet