la ke duniya men hamen zahr-e-fana dete hain
haa.e is bhul-bhulayyan men dagha dete hain
rahm bhi zulm-o-sitam se nahin ḳhali un ka
daman-e-tegh se zaḳhmon ko hava dete hain
dil men dard ankhon men ashob-e-jigar men sozish
ishq kya dete hain ik rog laga dete hain
mun.imon ka nahin daryuza-garon par ehsan
aap kya denge vo ḳhaliq ka diya dete hain
dahan-e-yar ki tarif likhi kya kahna
‘qadr’ to jhuuT ko sach kar ke dikha dete hain
Leave a Reply