kyuun kahte ho kya meri jafa ko nahin dekha
aate hue kah kah ke qaza ko nahin dekha
aina-e-kaunain hain donon miri ankhen
tum ko nahin dekha ki khuda ko nahin dekha
dekhe to koi tez-ravi umr-e-ravan ki
phir kar kabhi naqsh-e-kaf-e-pa ko nahin dekha
har khaar se yuun puchhti hai dasht men laila
tum ne to kisi abla-pa ko nahin dekha
kis ghash pe tumhen naaz hai ai hazrat-e-musa
un ki nigah-e-hosh-ruba ko nahin dekha
aina-e-vahdat hai dil-e-saf hamara
kis but men nazar shan-e-khuda ko nahin dekha
Leave a Reply