taalluq ki nai ik rasm ab ijad karna hai
na us ko bhulna hai aur na us ko yaad karna hai
zabanen kat gaiin to kya salamat ungliyan to hain
dar o divar pe likh do tumhen fariyad karna hai
sitara khush-gumani ka sajaya hai hatheli par
kisi surat hamen to apne dil ko shaad karna hai
bana kar ek ghar dil ki zamin par us ki yadon ka
kabhi abad karna hai kabhi barbad karna hai
taqaza vaqt ka ye hai na pichhe mud ke dekhen ham
so ham ko vaqt ke is faisle par saad karna hai
Leave a Reply