jiite ji aram na aaya
marna bhi kuchh kaam na aaya
mai apni mai-ḳhana apna
ham tak daur-e-jam na aaya
dard ne kya kya pahlu badle
lab pe kisi ka naam na aaya
barq se tha kya duur nasheman
us ka taḌapna kaam na aaya
kah ga.i nazren gham ka fasana
zabt pe kuchh ilzam na aaya
mai na mili gar pi liye aansu
main kabhi tishna-kam na aaya
pursish-e-gham ko vo ḳhud aa.e
phir bhi mujhe aram na aaya
kis se ‘sa.id’ ab shikva kiije
koi bhi vaqt-e-sham na aaya
Leave a Reply