kyuun hai kah aina is darja tu hairan mujh se
apni rudad ko mat kijiyo pinhan mujh se
huun hava-khvah main ai gul tira jiyun mauj-e-nasim
ghuncha-san kab hai girah ka tire nuqsan mujh se
chashm-e-mast us ki ne dil tod ke pheri hai nazar
ki na mange kahin is shisha ka tavan mujh se
tiir ne khvab men hamdard jo paaya apna
dard-e-dil kahne laga ho ke vo giryan mujh se
ram ka hirnon ke bagule ki bhi betabi ka
raaz sab vaaz kiya phaad gareban mujh se
garm rakhta tha kaha madrasa jab vaadi ka
ilm-e-vahshat kiye tahsil ghazalan mujh se
sar par ab khaak udata hua phirta huun ‘ishq’
saaf dekha to na thi khatir-e-yaran mujh se
Leave a Reply