sanvare hai gesu to dekha kare hai
vo ab dil ko a.ina jaana kare hai
na baten kare hai na dekha kare hai
magar mere baare men socha kare hai
mohabbat se vo dushmani hai ki duniya
hava bhi lage hai to charcha kare hai
tumhari tarah bevafa kaun hoga
hamen vaqt ab tak pukara kare hai
guzarte to ham bhi hain us ki gali se
suna hai vo chhup chhup ke dekha kare hai
ik aati hai manzil ki har husn vaala
tamanna.iyon ki tamanna kare hai
vahan la ke chhoḌa hai us ne ki insan
jahan zahr khana gavara kare hai
gile karte phiriye ki divana baniye
paḌi hai vo aison ki parva kare hai
jo ghuncha sar-e-sham chaTke to samjho
kisi par vafa ka taqaza kare hai
kisi ne unhen ye sujha di ki ‘mahshar’
tumhen sher kah kah ke rusva kare hai
Leave a Reply