kyuun fana se Daren baqa kya hai
bujh gaya dil hi jab raha kya hai
bhar gaya kyuun tasanno.at se ji
parda ankhon se uTh gaya kya hai
surma-e-dida-ha-e-ahl-e-nazar
ban ga.i hai jo ḳhak-e-pa kya hai
kaise duniya vajud men aa.i
afrinash ka mudda.a kya hai
jis men arbon jahan sama.e hain
vo faza kya hai vo ḳhala kya hai
chand ki samt hain davan maujen
kya kashish hai ye majra kya hai
phail jaati hai kis tarah avaz
aankh ka sehr hai ziya kya hai
jism-e-be-ruh ko ḳhabar hi nahin
duḳhma kya gor kya chita kya hai
kya jamadat se bhi kam hai bashar
zar ki puuja se mudda.a kya hai
aks hai aks har shabih yahan
guunj hi guunj hai sada kya hai
Leave a Reply