• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tujhse Mansub Rahun Teri Kahi Jaun Piya

Tujhse Mansub Rahun Teri Kahi Jaun Piya

tujh se mansub rahun teri kahi ja.un piya

tiri nisbat se likhi aur paḌhi ja.un piya

jhumti phirti havaon ki tarah se main bhi

chuum kar lams tira mast hui ja.un piya

tire ehsas se lipTi rahun ḳhushbu ki tarah

raat ki raani banun aur khuli ja.un piya

tiri aahaT ka sama.at men koi dar jo khule

main usi dar men diya ban ke jali ja.un piya

Daal duun ab-e-sitamgar men kahin kachcha ghaḌa

dar-e-kisra men kahin zinda chuni ja.un piya

raat ke pichhle pahar vajd ke aalam men kahin

main tiri ruuh men tahlil hui ja.un piya

phir tire ishq men ḳhushbu ka badan pahne hue

tiri chaukhaT pe agar ban ke jali ja.un piya

jab kahin koi faqiron men kare zikr mira

main tire dar ke faqiron men gini ja.un piya

mire hujre men tiri chaap ke jab phuul khilen

aap hi aap charaghon men Dhali ja.un piya

ho agar dafn mire saath tira naqsh-e-qadam

raqs karti su-e-maqtal ba-ḳhushi ja.un piya

ban ke dargahon pe main hijr ke maron ki dua

dard ke champa.i dhagon men bandhi ja.un piya

jab tire naqsh-e-qadam par main jhuki ja.un piya

asmanon men uḌuun uḌti chali ja.un piya

dekh le is men sarasar tiri badnami hai

ki tire dar se uThun aur tahi ja.un piya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

parveen-fana-syed

Kahan Hai Shorida-Sar Musafir

Kis Ne Gham Ke Jal Bikhere

poet

Hawa Se Baada nichoDen Kali Ko Jam Karen

Baat Hai Aap Ki Ghazab Ki Baat

poet

Dekho Apni Aankh-Michauli Ek Haqiqat Ho Gai Na

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet