ḳhuda rakhe miri divangi ko
na bhula huun na bhulunga kisi ko
na kar rusva mazaq-e-mai-kashi ko
bujha le be-piye hi tishnagi ko
mire nazdik tamhid-e-alam hai
ḳhushi main kah nahin sakta ḳhushi ko
luTa kar ka.enat-e-zindagani
ba-mushkil aaj paaya hai kisi ko
sahara le raha huun bebasi ka
mukammal kar raha huun zindagi ko
na samjha hai na samjhega zamana
ḳhudi ke saath rabt-e-be-ḳhudi ko
dikha kar ik jhalak chhup jaane vaale
nigahen DhunDhti hain phir tujhi ko
ghazal be-kaif thi muddat se ‘rahi’
dua.en do ‘jigar’ ki sha.iri ko
Leave a Reply