• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyon KHayal-E-ruKH-E-Mahbub Ka Ehsan Hota

Kyon KHayal-E-ruKH-E-Mahbub Ka Ehsan Hota

poet

kyon ḳhayal-e-ruḳh-e-mahbub ka ehsan hota

dil jala tha to charagh-e-shab-e-hijran hota

iid hoti tire divane ki aati jo bahar

jhuk ke daman se ham-aghosh gareban hota

shab-e-mahtab men vo ruḳh se ulaTte jo naqab

gird phir phir ke tasadduq mah-e-taban hota

ḳhair guzri ki tiri bazm men behosh the sab

varna jo hosh men aata vo pasheman hota

vaste main ne shab-e-vasl ḳhuda ke bhi diye

maan hi jaata vo kafir jo musalman hota

ai junun mujh se qasam le ki bahut muflis huun

kya kafan ke liye rakkha jo gareban hota

Thokaren vadi-e-ghurbat ki na khata ‘safdar’

ai falak us ka bhara ghar jo na viran hota

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bahadur-shah-zafar

Wo Sau Sau Atkhaton Se Ghar Se Bahar do Qadam Nikle

Gulab-E-surKH Se Aarasta Dalan Karna Hai

Chahat Ji Ka Rog Hai Pyare Ji Ko Rok Lagao Kyun

Raat Guzri Na Kam Sitare Hue

Mujhko Viran Si Raaton Mein Jagane Wale

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet