kya sabab tha kis liye duniya se main Darta raha
sar jhuka kar jis ne jo bhi kah diya karta raha
si diya tha mere honTon ko zamane ne magar
zikr sub.h-o-sham tera phir bhi main karta raha
zindagi ke raste men zaḳhm jo mujh ko mile
chupke chupke pyaar ke marham se vo bharta raha
jaate jaate vo mujhe kah kar ga.e the is liye
lamha lamha zindagi jiita raha marta raha
sadgi ki main ne ye qimat chuka.i umr bhar
jurm koi aur karta danD main bharta raha
Leave a Reply