kya roke qaza ke vaar taaviz
qila hai na kuchh hisar taaviz
choti men hai mushk-bar taaviz
ya fitna-e-rozgar taaviz
donon ne na dard-e-dil mitaya
gande ka hai rishta-dar taaviz
kya nad-e-ali men bhi asar hai
charon tukde hain chaar taaviz
darta huun na subh ho shab-e-vasl
hai mahr vo zar-nigar taaviz
ham ko bhi ho kuchh umid-e-taskin
khoe jo tap-e-khayar taaviz
pattan ko jad hamari pahunchi
gaada tah-e-pa-e-yar taaviz
hajat nahin un ko nau-ratan ki
baazu pe hain panch chaar taaviz
khatke vo na aae fatihe ko
dekha jo sar-e-mazar taaviz
pi jaenge ghol kar kise aap
hai naqsh na khaksar taaviz
ai turk talen balaen sar se
ik tegh ka khat-e-hazar taaviz
dar hai tumhen kanknon se lazim
laaya to hai sada-kar taaviz
iksir ka nuskha is ko samjhun
khoe jo tira ghubar taaviz
majmaa hai ‘amir’ ki lahad par
mele ka hai ishtihar taaviz
Leave a Reply