• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Puchhte Ho Haal-E-Dil-E-Be-Qarar Aaj

Kya Puchhte Ho Haal-E-Dil-E-Be-Qarar Aaj

kya puchhte ho hal-e-dil-e-be-qarar aaj

jo kal thi hai vo gardish-e-lail-o-nahar aaj

us paikar-e-jafa ko na kos ai dil-e-hazin

teri tarah hai vo bhi bahut be-qarar aaj

mere hi dam se rah gaya mai-ḳhane men bharam

varna janab-e-shaiḳh ko milta udhar aaj

us ne likha hai bahr-ayadat kal a.enge

jiine bhi dega mujh ko dil-e-be-qarar aaj

kis mast ki dua hui maqbul-e-bargah

aaya hai jhuum jhuum ke abr-e-bahar aaj

mere liye kahin bhi jahan men sukun nahin

le kar kahan chala hai dil-e-be-qarar aaj

us gul ne jaane kya mire baare men kah diya

guzri hai mujh se kaT ke nasim-e-bahar aaj

ye faiz hai ‘tabib’-o-‘qatil’ aur ‘zar’ ka

‘asi’ jo sha.iron men hai tera shumar aaj

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Apne Khoe Hue Lamhat Ko Paya Tha Kabhi

Bite KHwab Ki Aadi Aankhen Kaun Unhen Samjhae

Parda-Dar Hasti Thi Zat Ke Samundar Mein

Ab Tak the Wabasta Jo Alfaz Ke Tanon-Banon Se

uTho Zamane Ke Aashob Ka Izala Karen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet